Mehfuz hain har who khwaab ankhon mein ansoo ban kar,
Aa jaata hai bahar maikhane mein kabhi kabhi paani ban ke.
Hijr' ke kisse kahenge kabhi fursat mein,
Aaj do pal to jee lene do sharabi ban ke,
Toota kabhi jo dard-e-qarar, teri bazm mein
Jhalak jaayenge paimana ban ke
Saqi aaj na rok, jee bhar ke peene de,
Idhar na lautenge fir yeah kadam zindagi ban ke
Khud pe itraata hai ae magrur husn,
Milenge tujhse roz ab aaina ban ke
saqi:bartender
dard-e-qarar:pact with pain
bazm:mehfil,
No comments:
Post a Comment